KHayal-e-yar ko har-waqt ru-ba-ru rakhna
ḳhayāl-e-yār ko har-vaqt rū-ba-rū rakhnā
hamārā kaam hai zaḳhmoñ se guftugū rakhnā
ḳhizāñ-rasīda rutoñ meñ bahār ke naġhme
kahāñ kī aql thī apnī ye aarzū rakhnā
ye ek sāneha hai apnī zindagī ke liye
nahīñ nasīb meñ jo us kī justujū rakhnā
qadam qadam pe kaḌī āzmā.isheñ haiñ yahāñ
bachā bachā ke zamāne se aabrū rakhnā
KHayal-e-yar ko har-waqt ru-ba-ru rakhna
hamara kaam hai zaKHmon se guftugu rakhna
KHizan-rasida ruton mein bahaar ke naghme
kahan ki aql thi apni ye aarzu rakhna
ye ek saneha hai apni zindagi ke liye
nahin nasib mein jo us ki justuju rakhna
qadam qadam pe kaDi aazmaishen hain yahan
bacha bacha ke zamane se aabru rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.