KHayal-e-zehn-shikan se zaban bhar aa jae
ḳhayāl-e-zehn-shikan se zabān bhar aa jaa.e
ye ho to haath mire koī sher-e-tar aa jaa.e
hamāre miTne se duniyā huī hai aisī nihāñ
ki jaise biij se bāhar koī shajar aa jaa.e
banā.ī maiñ ne jo be-sūratī ke patthar se
maiñ kyā karūñ isī mūrat pe dil agar aa jaa.e
chaman tamām to aahaT pe us kī jhuum uThā
yahāñ ye ḳhabt vo sail-e-havā nazar aa jaa.e
bhañvar musir hai ki āġhosh-e-tañg meñ dariyā
tamām vus.at-e-naḳhvat sameT kar aa jaa.e
kashish bhī us kī ġhazab ro.ab-e-husn bhī aisā
ki sāmnā hī na kar pā.ūñ vo agar aa jaa.e
rahoge phir bhī 'muhib' sat.h-e-bahr hī se do-chār
agar tumhāre liye tah bhī sat.h par aa jaa.e
KHayal-e-zehn-shikan se zaban bhar aa jae
ye ho to hath mere koi sher-e-tar aa jae
hamare miTne se duniya hui hai aisi nihan
ki jaise bij se bahar koi shajar aa jae
banai main ne jo be-surati ke patthar se
main kya karun isi murat pe dil agar aa jae
chaman tamam to aahaT pe us ki jhum uTha
yahan ye KHabt wo sail-e-hawa nazar aa jae
bhanwar musir hai ki aaghosh-e-tang mein dariya
tamam wusat-e-naKHwat sameT kar aa jae
kashish bhi us ki ghazab roab-e-husn bhi aisa
ki samna hi na kar paun wo agar aa jae
rahoge phir bhi 'muhib' sath-e-bahr hi se do-chaar
agar tumhaare liye tah bhi sath par aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.