KHayal hijr-e-musalsal mein aae hain kya kya
ḳhayāl hijr-e-musalsal meñ aa.e haiñ kyā kyā
mirī vafā ke qadam Dagmagā.e haiñ kyā kyā
na sirf husn kī ma.asūmiyat pe the ilzām
ḳhulūs-e-ishq pe bhī harf aa.e haiñ kyā kyā
junūñ ke naam pe shorish kī tohmateñ rakh kar
ḳhirad ne ḳhud bhī to fitne uThā.e haiñ kyā kyā
is ik nazar se ba-zāhir jo multafit bhī na thī
mirī nigāh ne paiġhām paa.e haiñ kyā kyā
KHayal hijr-e-musalsal mein aae hain kya kya
meri wafa ke qadam Dagmagae hain kya kya
na sirf husn ki masumiyat pe the ilzam
KHulus-e-ishq pe bhi harf aae hain kya kya
junun ke nam pe shorish ki tohmaten rakh kar
KHirad ne KHud bhi to fitne uThae hain kya kya
is ek nazar se ba-zahir jo multafit bhi na thi
meri nigah ne paigham pae hain kya kya
- Book : Patthar Ki Lakiir II (Pg. 38)
- Author : Sarshar Siddiqui
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.