KHayal is baat ka dil se mere aksar nahin jata
ḳhayāl is baat kā dil se mire aksar nahīñ jaatā
maiñ ghar jaane kī jaldī meñ umūman ghar nahīñ jaatā
mujhe ik mas.ala darpesh hai ki haath to mere
tire paañv talak jaate haiñ lekin sar nahīñ jaatā
kisī kī badduā hai yā mire paañv nahīñ mere
jahāñ jaanā zarūrī ho vahāñ aksar nahīñ jaatā
vo mere saath chaltā hai ki maiñ tanhā na ho jā.ūñ
magar ik fāsla rakh kar jahāñ patthar nahīñ jaatā
ġhalat-fahmī meñ mat rahnā ta'alluq TuuT jaa.e to
ta'alluq maar detā hai ta'alluq mar nahīñ jaatā
KHayal is baat ka dil se mere aksar nahin jata
main ghar jaane ki jaldi mein umuman ghar nahin jata
mujhe ek masala darpesh hai ki hath to mere
tere panw talak jate hain lekin sar nahin jata
kisi ki baddua hai ya mere panw nahin mere
jahan jaana zaruri ho wahan aksar nahin jata
wo mere sath chalta hai ki main tanha na ho jaun
magar ek fasla rakh kar jahan patthar nahin jata
ghalat-fahmi mein mat rahna ta'alluq TuT jae to
ta'alluq mar deta hai ta'alluq mar nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.