KHayal jaan se baDh kar safar mein rahta hai
ḳhayāl jaan se baḌh kar safar meñ rahtā hai
vo merī ruuh ke andar safar meñ rahtā hai
jo saare din kī thakan oḌh kar maiñ sotā huuñ
to saarī raat mirā ghar safar meñ rahtā hai
janam janam se mirī pyaas sar paTaktī hai
janm janm se samundar safar meñ rahtā hai
mirā yaqīn karo us ke paañv meñ til hai
isī liye vo barābar safar meñ rahtā hai
maiñ dil hī dil meñ jise pūjne lagā huuñ bahut
vo devtā nahīñ patthar safar meñ rahtā hai
KHayal jaan se baDh kar safar mein rahta hai
wo meri ruh ke andar safar mein rahta hai
jo sare din ki thakan oDh kar main sota hun
to sari raat mera ghar safar mein rahta hai
janam janam se meri pyas sar paTakti hai
janm janm se samundar safar mein rahta hai
mera yaqin karo us ke panw mein til hai
isi liye wo barabar safar mein rahta hai
main dil hi dil mein jise pujne laga hun bahut
wo dewta nahin patthar safar mein rahta hai
- Book : Khamoshiyaon Ka Nagma (Pg. 68)
- Author : Dr. Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.