Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun

Ehsan Darbhangavi

KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun

Ehsan Darbhangavi

MORE BYEhsan Darbhangavi

    ḳhayāl ke phuul khil rahe haiñ bahār ke giit rahā huuñ

    tire tasavvur sarzamīñ par na.e gulistāñ khilā rahā huuñ

    maiñ saare bārbād-kun ḳhayāloñ ko dil mehmāñ banā rahā huuñ

    ḳhirad mahfil ujaḌ chukī hai junūñ mahfil sajā rahā huuñ

    udhar hai āñkhoñ meñ ik sharārat idhar hai siine meñ ik chubhan

    nazar se vo muskurā rahe haiñ jigar se maiñ muskurā rahā huuñ

    mirī musībat ye kah rahī hai ḳhudā mujhe aazmā rahā hai

    mirī ibādat ye kah rahī hai ḳhudā ko maiñ aazmā rahā huuñ

    ḳhudī ke māthe pe dāġh-e-sajda havas ke chehre pe tīrgī hai

    maiñ ek ā.īna le ke donoñ ko duur se dikhā rahā huuñ

    liyā na dil ne mire sahārā ubhartī maujoñ shorishoñ

    maiñ apnī is kashtī-e-shikasta aap nā-ḳhudā rahā huuñ

    mile na merī ġhazal meñ kyūñkar shu.ūr-e-hastī surūr-e-mastī

    'jamīl' ke mai-kade se 'ehsāñ' sharāb-e-idrāk rahā huuñ

    KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun

    tere tasawwur ki sarzamin par nae gulistan khila raha hun

    main sare barbaad-kun KHayalon ko dil ka mehman bana raha hun

    KHirad ki mahfil ujaD chuki hai junun ki mahfil saja raha hun

    udhar hai aankhon mein ek shararat idhar hai sine mein ek chubhan si

    nazar se wo muskura rahe hain jigar se main muskura raha hun

    meri musibat ye kah rahi hai KHuda mujhe aazma raha hai

    meri ibaadat ye kah rahi hai KHuda ko main aazma raha hun

    KHudi ke mathe pe dagh-e-sajda hawas ke chehre pe tirgi hai

    main ek aaina le ke donon ko dur hi se dikha raha hun

    liya na dil ne mere sahaara ubharti maujon ka shorishon ka

    main apni is kashti-e-shikasta ka aap hi na-KHuda raha hun

    mile na meri ghazal mein kyunkar shuur-e-hasti surur-e-masti

    'jamil' ke mai-kade se 'ehsan' sharab-e-idrak pa raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now