KHayal mein ek na ek maze ki nai kahani hai aur hum hain
ḳhayāl meñ ik na ik maze kī na.ī kahānī hai aur ham haiñ
abhī tamannā hai aur dil hai abhī javānī hai aur ham haiñ
ġharīq-e-bahr-e-sitam na kyuuñ hoñ ye jāñ-fishānī hai aur ham haiñ
ki aap haiñ aap kī chhurī hai chhurī kā paanī hai aur ham haiñ
dam-e-aḳhīr us ko ab na socheñ ye sochnā chāhiye thā pahle
ma.aal kyā hogā zindagī kā jahān-e-fānī hai aur ham haiñ
ye ishq par husn kī ināyat ye husn se ishq kī irādat
hamārī hasrat hai aur tū hai tirī javānī hai aur ham haiñ
nigāh-e-ulfat bhī ho chalī kuchh sitam bhī karne lagā vo zālim
agar yahī mehrbāniyāñ haiñ to kāmrānī hai aur ham haiñ
adā ne chheḌā nazar ne taakā sitam ne luuTā ġhazab ne maarā
zabān jab se khulī hamārī yahī kahānī hai aur ham haiñ
baqā kā charchā jahān bhar meñ magar baqā se jahān ḳhālī
ḳhayāl-e-aish-e-mudām kaisā jahān-e-fānī hai aur ham haiñ
abhī se tauba abhī se taqvā abhī se kyā fikr-e-dīn-o-uqbā
na.ī umañgeñ na.ī tarañgeñ na.ī javānī hai aur ham haiñ
pahuñch pahuñch kar falak par aaheñ kareñ na anjum meñ kyuuñ izāfa
ki shaam se sub.h tak shab-e-ġham sharar-fishānī hai aur ham haiñ
kise tavaqqo na ā.eñge vo yaqīñ kise thā bulā.eñge vo
ye ḳhaas un kī hai mehrbānī ki mehrbānī hai aur ham haiñ
uThā hī deñge naqāb apnī dikhā hī deñge vo apnā jalva
nibhegī kab tak ye lan-tarānī ye lan-tarānī hai aur ham haiñ
bhare hue chashm-e-tar meñ aañsū jigar meñ bhaḌkī huī tap-e-ġham
ye aag hai aur ye hai paanī ye aag paanī hai aur ham haiñ
fuġhāñ to āḳhir fuġhāñ hī Thahrī gila to āḳhir gila hī Thahrā
muhāl hai jis meñ saañs lenī vo nā-tavānī hai aur ham haiñ
na.e shagūfe na kyuuñ khilā.eñ jo ġhuncha-o-gul ko dekh paa.eñ
bahār to hai chaman kī raanī chaman kī raanī hai aur ham haiñ
kabhī to ham haiñ yahāñ vahāñ ke kabhī tasavvur idhar udhar kā
sukūn-o-rāhat se kyā ta.alluq ki bad-gumānī hai aur ham haiñ
jatā chuke dard-e-dil ko apne jo ab jatā.eñ to kyā jatā.eñ
kahī huī bhī sunī huī bhī vahī kahānī hai aur ham haiñ
bahut se ulfat meñ aa.e tūfāñ rahā kiye 'nūh' bhī pareshāñ
magar vahī paiham āñsuoñ kī abhī ravānī hai aur ham haiñ
KHayal mein ek na ek maze ki nai kahani hai aur hum hain
abhi tamanna hai aur dil hai abhi jawani hai aur hum hain
ghariq-e-bahr-e-sitam na kyun hon ye jaan-fishani hai aur hum hain
ki aap hain aap ki chhuri hai chhuri ka pani hai aur hum hain
dam-e-aKHir us ko ab na sochen ye sochna chahiye tha pahle
maal kya hoga zindagi ka jahan-e-fani hai aur hum hain
ye ishq par husn ki inayat ye husn se ishq ki iradat
hamari hasrat hai aur tu hai teri jawani hai aur hum hain
nigah-e-ulfat bhi ho chali kuchh sitam bhi karne laga wo zalim
agar yahi mehrbaniyan hain to kaamrani hai aur hum hain
ada ne chheDa nazar ne taka sitam ne luTa ghazab ne mara
zaban jab se khuli hamari yahi kahani hai aur hum hain
baqa ka charcha jahan bhar mein magar baqa se jahan KHali
KHayal-e-aish-e-mudam kaisa jahan-e-fani hai aur hum hain
abhi se tauba abhi se taqwa abhi se kya fikr-e-din-o-uqba
nai umangen nai tarangen nai jawani hai aur hum hain
pahunch pahunch kar falak par aahen karen na anjum mein kyun izafa
ki sham se subh tak shab-e-gham sharar-fishani hai aur hum hain
kise tawaqqo na aaenge wo yaqin kise tha bulaenge wo
ye KHas un ki hai mehrbani ki mehrbani hai aur hum hain
uTha hi denge naqab apni dikha hi denge wo apna jalwa
nibhegi kab tak ye lan-tarani ye lan-tarani hai aur hum hain
bhare hue chashm-e-tar mein aansu jigar mein bhaDki hui tap-e-gham
ye aag hai aur ye hai pani ye aag pani hai aur hum hain
fughan to aaKHir fughan hi Thahri gila to aaKHir gila hi Thahra
muhaal hai jis mein sans leni wo na-tawani hai aur hum hain
nae shagufe na kyun khilaen jo ghuncha-o-gul ko dekh paen
bahaar to hai chaman ki rani chaman ki rani hai aur hum hain
kabhi to hum hain yahan wahan ke kabhi tasawwur idhar udhar ka
sukun-o-rahat se kya talluq ki bad-gumani hai aur hum hain
jata chuke dard-e-dil ko apne jo ab jataen to kya jataen
kahi hui bhi suni hui bhi wahi kahani hai aur hum hain
bahut se ulfat mein aae tufan raha kiye 'nuh' bhi pareshan
magar wahi paiham aansuon ki abhi rawani hai aur hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.