KHayal mein tere paikar ko chum lete hain
ḳhayāl meñ tire paikar ko chuum lete haiñ
ham ahl-e-zarf haiñ patthar ko chuum lete haiñ
baḌhā ga.e the vo izzat hamāre ghar kī kabhī
is ehtirām meñ ham dar ko chuum lete haiñ
hayāt-e-nau kī jhalak jo hameñ dikhātā hai
nazar se ham usī manzar ko chuum lete haiñ
ġharīb-ḳhāne meñ hotī hai raushnī jis se
ham us charāġh-e-munavvar ko chuum lete haiñ
baḌā sukūn hameñ ghar meñ aa ke miltā hai
ham apne bachchoñ ke jab sar ko chuum lete haiñ
KHayal mein tere paikar ko chum lete hain
hum ahl-e-zarf hain patthar ko chum lete hain
baDha gae the wo izzat hamare ghar ki kabhi
is ehtiram mein hum dar ko chum lete hain
hayat-e-nau ki jhalak jo hamein dikhata hai
nazar se hum usi manzar ko chum lete hain
gharib-KHane mein hoti hai raushni jis se
hum us charagh-e-munawwar ko chum lete hain
baDa sukun hamein ghar mein aa ke milta hai
hum apne bachchon ke jab sar ko chum lete hain
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 105)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.