KHayal mere rulaen tumko to lauT aana
ḳhayāl mere rulā.eñ tum ko to lauT aanā
havā.eñ ThanDī jalā.eñ tum ko to lauT aanā
o jaane vaale sameT lūñgī maiñ bāzuoñ meñ
thakāvaTeñ gar satā.eñ tum ko to lauT aanā
qasam tumhārī hamesha maiñ muntazir rahūñgī
mirī nigāheñ bulā.eñ tum ko to lauT aanā
tamām logoñ kī chāhateñ dekh kar bhī aa.eñ
jo yaad merī vafā.eñ tum ko to lauT aanā
agar kabhī dhaḌkaneñ tumhārī ho jaa.eñ muztar
maiñ mar chukī huuñ batā.eñ tum ko to lauT aanā
KHayal mere rulaen tum ko to lauT aana
hawaen ThanDi jalaen tum ko to lauT aana
o jaane wale sameT lungi main bazuon mein
thakawaTen gar sataen tum ko to lauT aana
qasam tumhaari hamesha main muntazir rahungi
meri nigahen bulaen tum ko to lauT aana
tamam logon ki chahaten dekh kar bhi aaen
jo yaad meri wafaen tum ko to lauT aana
agar kabhi dhaDkanen tumhaari ho jaen muztar
main mar chuki hun bataen tum ko to lauT aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.