KHayal-o-fikr ke kuchh zawiye talash karo
ḳhayāl-o-fikr ke kuchh zāviye talāsh karo
ġhazal kaho to na.e qāfiye talāsh karo
jo taaq taaq bhaḌakte haiñ un ko gul kar do
ujāle baḳhshne vaale diye talāsh karo
kitāb-e-dil kī ibārat meñ ho agar ib.hām
to phir jabīñ pe likhe hāshiye talāsh karo
Thahar sakegī na shām-o-sahar kī ye gardish
qayām-gāh na apne liye talāsh karo
ġhamoñ kī shaan meñ rakkho gulāb jaise lafz
masarratoñ ke liye marsiye talāsh karo
KHayal-o-fikr ke kuchh zawiye talash karo
ghazal kaho to nae qafiye talash karo
jo taq taq bhaDakte hain un ko gul kar do
ujale baKHshne wale diye talash karo
kitab-e-dil ki ibarat mein ho agar ibham
to phir jabin pe likhe hashiye talash karo
Thahar sakegi na sham-o-sahar ki ye gardish
qayam-gah na apne liye talash karo
ghamon ki shan mein rakkho gulab jaise lafz
masarraton ke liye marsiye talash karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.