KHayal-o-fikr ke par mein uDan bandh ke chal
ḳhayāl-o-fikr ke par meñ uḌaan bāñdh ke chal
suḳhan ke paañv meñ tū āsmān bāñdh ke chal
ġhazal kī bazm meñ shirkat jo karnī hai tujh ko
ik ek sher meñ fan kī zabān bāñdh ke chal
na jaane kab use tūfāñ kā sāmnā ho jaa.e
purānī naav meñ tū bādbān bāñdh ke chal
sulagtī dhuup meñ vo sar ke kaam aa.egā
safar meñ hausle kā sā.ebān bāñdh ke chal
ġharīb-e-shahr kī bastī meñ tujh ko chalnā hai
rag-e-ḳhudī meñ saḳhāvat kī shaan bāñdh ke chal
sabhī ye pūchheñge patthar ne kyā diyā hai tujhe
jabīñ pe zaḳhm kā gahrā nishān bāñdh ke chal
ġhazal kī bazm meñ ik saaz bhī zarūrī hai
'qamar' zabān meñ naġhmoñ kī taan bāñdh ke chal
KHayal-o-fikr ke par mein uDan bandh ke chal
suKHan ke panw mein tu aasman bandh ke chal
ghazal ki bazm mein shirkat jo karni hai tujh ko
ek ek sher mein fan ki zaban bandh ke chal
na jaane kab use tufan ka samna ho jae
purani naw mein tu baadban bandh ke chal
sulagti dhup mein wo sar ke kaam aaega
safar mein hausle ka saeban bandh ke chal
gharib-e-shahr ki basti mein tujh ko chalna hai
rag-e-KHudi mein saKHawat ki shan bandh ke chal
sabhi ye puchhenge patthar ne kya diya hai tujhe
jabin pe zaKHm ka gahra nishan bandh ke chal
ghazal ki bazm mein ek saz bhi zaruri hai
'qamar' zaban mein naghmon ki tan bandh ke chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.