KHayal-o-fikr ko pa-basta-e-buhur kiya
ḳhayāl-o-fikr ko pā-basta-e-buhūr kiyā
ye merā fan hai ki patthar ko koh-e-nūr kiyā
ye tere ilm kī sabqat zarūr hai lekin
gunāh maiñ ne hī qasdan mire ġhafūr kiyā
ye ḳhud-kalāmī nahīñ hai ye ham-kalāmī hai
ḳhudā ne mere musalle ko koh-e-tūr kiyā
dil aise asp-e-subuk-rau pe kitnī pābandī
ki har safar meñ ḳhayāl-e-rah-e-nushūr kiyā
maiñ kab se ālam-e-barzaḳh meñ huuñ ki tū ne mujhe
na apne paas bulāyā na ḳhud se duur kiyā
KHayal-o-fikr ko pa-basta-e-buhur kiya
ye mera fan hai ki patthar ko koh-e-nur kiya
ye tere ilm ki sabqat zarur hai lekin
gunah main ne hi qasdan mere ghafur kiya
ye KHud-kalami nahin hai ye ham-kalami hai
KHuda ne mere musalle ko koh-e-tur kiya
dil aise asp-e-subuk-rau pe kitni pabandi
ki har safar mein KHayal-e-rah-e-nushur kiya
main kab se aalam-e-barzaKH mein hun ki tu ne mujhe
na apne pas bulaya na KHud se dur kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.