KHayal-o-KHwab ke paikar badalte rahte hain
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke paikar badalte rahte haiñ
dil aa.ina ho to manzar badalte rahte haiñ
hamāre haal se mat kar qayās-e-nākāmī
ki sar-phiroñ ke muqaddar badalte rahte haiñ
ulajh na jaa.e kahīñ bām-o-dar meñ rishta-e-zīst
is ehtimāl se ham ghar badalte rahte haiñ
har iltifāt hai taaza jarāhatoñ kī navīd
ki chārāgar mire nashtar badalte rahte haiñ
bhalā yaqīñ ko mayassar hai kab gumāñ se najāt
ki sāhiloñ ko samundar badalte rahte haiñ
asās-e-mehr-o-mohabbat nahīñ badaltī kabhī
agarche log barābar badalte rahte haiñ
vahī hai aaj jo kal thī sazā-e-haq-goī
sutūn-e-dār pe haañ sar badalte rahte haiñ
mire vatan kī bahut muḳhtasar sī hai tārīḳh
sitam vahī hai sitamgar badalte rahte haiñ
vahī hai jalva-e-jānāna dair ho ki haram
sharāb ek hai sāġhar badalte rahte haiñ
KHayal-o-KHwab ke paikar badalte rahte hain
dil aaina ho to manzar badalte rahte hain
hamare haal se mat kar qayas-e-nakaami
ki sar-phiron ke muqaddar badalte rahte hain
ulajh na jae kahin baam-o-dar mein rishta-e-zist
is ehtimal se hum ghar badalte rahte hain
har iltifat hai taza jarahaton ki nawid
ki chaaragar mere nashtar badalte rahte hain
bhala yaqin ko mayassar hai kab guman se najat
ki sahilon ko samundar badalte rahte hain
asas-e-mehr-o-mohabbat nahin badalti kabhi
agarche log barabar badalte rahte hain
wahi hai aaj jo kal thi saza-e-haq-goi
sutun-e-dar pe han sar badalte rahte hain
mere watan ki bahut muKHtasar si hai tariKH
sitam wahi hai sitamgar badalte rahte hain
wahi hai jalwa-e-jaanana dair ho ki haram
sharab ek hai saghar badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.