KHayal-o-KHwab ke paikar badalte rahte hain
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke paikar badalte rahte haiñ
ham apnī aag meñ har-dam pighalte rahte haiñ
hameñ hai naaz ki ham haiñ pahāḌ kī mānind
hamārī āñkhoñ se chashme ubalte rahte haiñ
tumhāre vāste ye chiiz hai na.ī varna
yahāñ pe saañp to aksar nikalte rahte haiñ
bulandiyoñ meñ jo uḌte haiñ un ko kyā ma.alūm
ghane banoñ kī haiñ ham aag jalte rahte haiñ
tum apne jism ke malbūs ko bachā.e rakho
ġhalīz paanī haiñ ham to uchhalte rahte haiñ
hamāre saath kahāñ tak chaloge zid na karo
ki rāstoñ kī tarah ham to chalte rahte haiñ
badaltī rut kī tarah un ke pyaar meñ ham bhī
ḳhud apnī shakl ko har-dam badalte rahte haiñ
KHayal-o-KHwab ke paikar badalte rahte hain
hum apni aag mein har-dam pighalte rahte hain
hamein hai naz ki hum hain pahaD ki manind
hamari aankhon se chashme ubalte rahte hain
tumhaare waste ye chiz hai nai warna
yahan pe sanp to aksar nikalte rahte hain
bulandiyon mein jo uDte hain un ko kya malum
ghane banon ki hain hum aag jalte rahte hain
tum apne jism ke malbus ko bachae rakho
ghaliz pani hain hum to uchhalte rahte hain
hamare sath kahan tak chaloge zid na karo
ki raston ki tarah hum to chalte rahte hain
badalti rut ki tarah un ke pyar mein hum bhi
KHud apni shakl ko har-dam badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.