KHayal-o-KHwab ki baaton ko dohrane se kya hoga
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī bātoñ ko dohrāne se kyā hogā
haqīqat sāmne hai jab to afsāne se kyā hogā
ḳhirad se jo nahīñ mumkin junūñ vo kar dikhātā hai
ġhalat hai jo ye kahte haiñ ki dīvāne se kyā hogā
agar dariyā meñ rahnā hai bahānā siikh maujoñ se
ḳhas-o-ḳhāshāk kī mānind bah jaane se kyā hogā
isī ehsās se paidā huī hai fikr-e-āzādī
qafas meñ is tarah ghuT ghuT ke mar jaane se kyā hogā
shikasta-sāz se naġhme kabhī paidā nahīñ hote
tumhārī uñgliyoñ ke shauq farmāne se kyā hogā
diye āñkhoñ ke donoñ bujh ga.e jab raat bhar jal kar
to hañgām-e-sahar yuuñ be-hijāb aane se kyā hogā
atā karnā hai 'ehsāñ' bazm ko soz-e-jigar apnā
ba-rañg-e-sham.a yuuñ ḳhāmosh jal jaane se kyā hogā
KHayal-o-KHwab ki baaton ko dohrane se kya hoga
haqiqat samne hai jab to afsane se kya hoga
KHirad se jo nahin mumkin junun wo kar dikhata hai
ghalat hai jo ye kahte hain ki diwane se kya hoga
agar dariya mein rahna hai bahana sikh maujon se
KHas-o-KHashak ki manind bah jaane se kya hoga
isi ehsas se paida hui hai fikr-e-azadi
qafas mein is tarah ghuT ghuT ke mar jaane se kya hoga
shikasta-saz se naghme kabhi paida nahin hote
tumhaari ungliyon ke shauq farmane se kya hoga
diye aankhon ke donon bujh gae jab raat bhar jal kar
to hangam-e-sahar yun be-hijab aane se kya hoga
ata karna hai 'ehsan' bazm ko soz-e-jigar apna
ba-rang-e-shama yun KHamosh jal jaane se kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.