KHayal-o-KHwab ki duniya mein la ke dekh liya
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā meñ lā ke dekh liyā
tirī qasam tujhe tujh se chhupā ke dekh liyā
jo ban paḌe to zarā mere ban ke bhī dekho
ki tum ne mujh ko to apnā banā ke dekh liyā
kisī tarah bhī vo dil se judā nahīñ hote
hazār tarah se un ko bhulā ke dekh liyā
abhī na aa.e the achchhī tarah se hosh meñ ham
kisī ne naaz se phir muskurā ke dekh liyā
jo inqalāb na dekhā thā ham ne ai 'naḳhshab'
vo us nigāh ko apnā banā ke dekh liyā
KHayal-o-KHwab ki duniya mein la ke dekh liya
teri qasam tujhe tujh se chhupa ke dekh liya
jo ban paDe to zara mere ban ke bhi dekho
ki tum ne mujh ko to apna bana ke dekh liya
kisi tarah bhi wo dil se juda nahin hote
hazar tarah se un ko bhula ke dekh liya
abhi na aae the achchhi tarah se hosh mein hum
kisi ne naz se phir muskura ke dekh liya
jo inqalab na dekha tha hum ne ai 'naKHshab'
wo us nigah ko apna bana ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.