KHayal-o-KHwab ki duniya nahin sanjone ka
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā nahīñ sañjone kā
udhār maañg ke rusvā na ab ke hone kā
koī to aa.egā surḳhī kā aib batlāne
lahū ke daaġh bhī chehre se ab na dhone kā
mohabbatoñ meñ mohabbat kī koī aas na rakh
ye kārobār to paane kā hai na khone kā
bichhaḌte vaqt jo talqīn bhī na kar paayā
phir us kī yaad meñ āñchal nahīñ bhigone kā
lo dekh lo vahī sāhil pe aa ke Duube haiñ
jinheñ thā shauq bahut kashtiyāñ Dubone kā
vo ham ki nīñdoñ ko āñkhoñ se duur kar Daalā
tumheñ ḳhayāl rahā oḌhne bichhaune kā
KHayal-o-KHwab ki duniya nahin sanjone ka
udhaar mang ke ruswa na ab ke hone ka
koi to aaega surKHi ka aib batlane
lahu ke dagh bhi chehre se ab na dhone ka
mohabbaton mein mohabbat ki koi aas na rakh
ye karobar to pane ka hai na khone ka
bichhaDte waqt jo talqin bhi na kar paya
phir us ki yaad mein aanchal nahin bhigone ka
lo dekh lo wahi sahil pe aa ke Dube hain
jinhen tha shauq bahut kashtiyan Dubone ka
wo hum ki nindon ko aankhon se dur kar Dala
tumhein KHayal raha oDhne bichhaune ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.