KHayal-o-KHwab ki duniya se istifada kiya
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā se istifāda kiyā
hunar samajh ke isī kaam ko ziyāda kiyā
ye tū ne kaun se mansab kī pāsdārī kī
banāyā miir mujhe ḳhud ko mīrzāda kiyā
kamāl ye ki jise rāsta milā hī nahīñ
vo kah rahā hai safar ham ne pā-piyāda kiyā
koī batāo ki maiñ ḳhud ko roktā kaise
jab us ne saath mire chalne kā irāda kiyā
bahut dinoñ pe tabī.at udhar huī maa.il
bahut dinoñ pe sabā ne bhī dil kushāda kiyā
KHayal-o-KHwab ki duniya se istifada kiya
hunar samajh ke isi kaam ko ziyaada kiya
ye tu ne kaun se mansab ki pasdari ki
banaya mir mujhe KHud ko mirzada kiya
kamal ye ki jise rasta mila hi nahin
wo kah raha hai safar hum ne pa-piyaada kiya
koi batao ki main KHud ko rokta kaise
jab us ne sath mere chalne ka irada kiya
bahut dinon pe tabiat udhar hui mail
bahut dinon pe saba ne bhi dil kushada kiya
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 75)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.