KHayal-o-KHwab ki zulfen sanwar thoDi der
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī zulfeñ sañvār thoḌī der
abhī hai aur shab-e-intizār thoḌī der
mohabbatoñ ke ye paikar ye dostī ke amiin
vafā ke hote haiñ sab pāsdār thoḌī der
abhī na rokiye in āñsuoñ ko palkoñ par
nikalne dījiye dil kā ġhubār thoḌī der
tamām umr rahā us kā intizār mujhe
jo kah gayā thā karo intizār thoḌī der
banā rahūñ maiñ tamāshā-e-ārzū kab tak
azaab mujh pe ḳhudāyā utaar thoḌī der
zarūr pighleñgī yaḳh-basta vādiyāñ 'betāb'
ruke to dhuup sar-e-kohsār thoḌī der
KHayal-o-KHwab ki zulfen sanwar thoDi der
abhi hai aur shab-e-intizar thoDi der
mohabbaton ke ye paikar ye dosti ke amin
wafa ke hote hain sab pasdar thoDi der
abhi na rokiye in aansuon ko palkon par
nikalne dijiye dil ka ghubar thoDi der
tamam umr raha us ka intizar mujhe
jo kah gaya tha karo intizar thoDi der
bana rahun main tamasha-e-arzu kab tak
azab mujh pe KHudaya utar thoDi der
zarur pighlengi yaKH-basta wadiyan 'betab'
ruke to dhup sar-e-kohsar thoDi der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.