KHayal-o-KHwab mein duniya sada basai gai
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ duniyā sadā basā.ī ga.ī
isī liye to haqīqat se āshnā.ī ga.ī
tumhārī vajah se miltā thā har kisī se maiñ
rahe na tum to sabhī se vo āshnā.ī ga.ī
tavīl raat lage ab na din lage chhoTā
purāne log ga.e dāstāñ-sarā.ī ga.ī
mire badan kī hadoñ tak kiyā mujhe mahdūd
ye kis hisāb se mujh ko sazā sunā.ī ga.ī
tumhāre hijr meñ ye haal ho gayā merā
tamām raat hī āñkhoñ meñ niiñd aa.ī ga.ī
mohabbatoñ kā sila bas yahī milā 'sābir'
huī jahān meñ rusvā.ī pārsā.ī ga.ī
KHayal-o-KHwab mein duniya sada basai gai
isi liye to haqiqat se aashnai gai
tumhaari wajah se milta tha har kisi se main
rahe na tum to sabhi se wo aashnai gai
tawil raat lage ab na din lage chhoTa
purane log gae dastan-sarai gai
mere badan ki hadon tak kiya mujhe mahdud
ye kis hisab se mujh ko saza sunai gai
tumhaare hijr mein ye haal ho gaya mera
tamam raat hi aankhon mein nind aai gai
mohabbaton ka sila bas yahi mila 'sabir'
hui jahan mein ruswai parsai gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.