KHayal-o-KHwab mein kab tak ye guftugu hogi
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ kab tak ye guftugū hogī
uThāo jaam ki ab baat rū-ba-rū hogī
abhī huuñ paas to vo ajnabī se baiThe haiñ
maiñ uTh gayā to bahut merī justujū hogī
mujhe batāo to kuchh kaam aa sakūñ shāyad
tumhāre dil meñ bhī ik fasl-e-ārzū hogī
tujhī ko DhūñDhtā phirtā thā dar-ba-dar phir bhī
mujhe yaqīn thā rusvā.ī kū-ba-kū hogī
badal gayā bhī agar vo to dekhne meñ 'na.īm'
vahī libās vahī shakl hū-ba-hū hogī
KHayal-o-KHwab mein kab tak ye guftugu hogi
uThao jam ki ab baat ru-ba-ru hogi
abhi hun pas to wo ajnabi se baiThe hain
main uTh gaya to bahut meri justuju hogi
mujhe batao to kuchh kaam aa sakun shayad
tumhaare dil mein bhi ek fasl-e-arzu hogi
tujhi ko DhunDhta phirta tha dar-ba-dar phir bhi
mujhe yaqin tha ruswai ku-ba-ku hogi
badal gaya bhi agar wo to dekhne mein 'naim'
wahi libas wahi shakl hu-ba-hu hogi
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 227)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.