Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-o-KHwab se ghar kab talak sajaen hum

Ahmad Hamdani

KHayal-o-KHwab se ghar kab talak sajaen hum

Ahmad Hamdani

MORE BYAhmad Hamdani

    ḳhayāl-o-ḳhvāb se ghar kab talak sajā.eñ ham

    hai meñ ab to ki ḳhud se bhī uThā.eñ ham

    'ajīb vahshateñ hisse meñ apne aa.ī haiñ

    ki tere ghar bhī pahuñch kar sakūñ na paa.eñ ham

    anīs-e-jāñ to haiñ ye ḳhush-qadāñ chinār magar

    adā.eñ terī unheñ kis tarah sikhā.eñ ham

    vo ghar to jal bhī chukā jis meñ tum tum the kabhī

    ab us raakh se duniyā na.ī basā.eñ ham

    sunā rahe haiñ dukhoñ kahāniyāñ kab se

    bas ab to dhyān naddī meñ Duub jaa.eñ ham

    har ek samt pahāḌoñ silsila hai yahāñ

    hamārā haal hai kyā ye kise sunā.eñ ham

    KHayal-o-KHwab se ghar kab talak sajaen hum

    hai ji mein ab to ki ji KHud se bhi uThaen hum

    'ajib wahshaten hisse mein apne aai hain

    ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paen hum

    anis-e-jaan to hain ye KHush-qadan chinar magar

    adaen teri unhen kis tarah sikhaen hum

    wo ghar to jal bhi chuka jis mein tum hi tum the kabhi

    ab us ki rakh se duniya nai basaen hum

    suna rahe hain dukhon ki kahaniyan kab se

    bas ab to dhyan ki naddi mein Dub jaen hum

    har ek samt pahaDon ka silsila hai yahan

    hamara haal hai kya ye kise sunaen hum

    Source :
    • Book : Range-e-Gazal (Pg. 115)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now