Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal tera hai dil mein ye baat teri hai

Aazim Gurvinder Singh Kohli

KHayal tera hai dil mein ye baat teri hai

Aazim Gurvinder Singh Kohli

MORE BYAazim Gurvinder Singh Kohli

    ḳhayāl terā hai dil meñ ye baat terī hai

    hai zarra zarra tirā kā.enāt terī hai

    har ek baazī hai terī ye khel hai terā

    maiñ sirf mohra huuñ yā-rab bisāt terī hai

    nafas nafas hai atā terī hai karam terā

    ye din bhī terā ai daatā ye raat terī hai

    maiñ jāntā huuñ mirā mujh meñ kuchh nahīñ yā-rab

    ye hai vajūd bhī terā ye zaat terī hai

    diyā hai ne 'āzim' ko aisā zauq-e-suḳhan

    qalam bhī terā hai maulā davāt terī hai

    KHayal tera hai dil mein ye baat teri hai

    hai zarra zarra tera kaenat teri hai

    har ek bazi hai teri ye khel hai tera

    main sirf mohra hun ya-rab bisat teri hai

    nafas nafas hai ata teri hai karam tera

    ye din bhi tera ai data ye raat teri hai

    main jaanta hun mera mujh mein kuchh nahin ya-rab

    ye hai wajud bhi tera ye zat teri hai

    diya hai tu ne hi 'azim' ko aisa zauq-e-suKHan

    qalam bhi tera hai maula dawat teri hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now