KHayal un ka satae ja raha hai
ḳhayāl un kā satā.e jā rahā hai
mirī hastī miTā.e jā rahā hai
ḳhudā ke vāste tum aa bhī jaao
tumhārā ġham rulā.e jā rahā hai
palaT kar dekhnā lāzim hai is ko
sadā.eñ jo lagā.e jā rahā hai
mujhe patthar samajh kar rāste kā
koī Thokar lagā.e jā rahā hai
tumhāre qurb kā ehsās dilbar
mirī dhaḌkan baḌhā.e jā rahā hai
masīhā jis ko samjhā thā maiñ 'ġhāzī'
vo merā dukh baḌhā.e jā rahā hai
KHayal un ka satae ja raha hai
meri hasti miTae ja raha hai
KHuda ke waste tum aa bhi jao
tumhaara gham rulae ja raha hai
palaT kar dekhna lazim hai is ko
sadaen jo lagae ja raha hai
mujhe patthar samajh kar raste ka
koi Thokar lagae ja raha hai
tumhaare qurb ka ehsas dilbar
meri dhaDkan baDhae ja raha hai
masiha jis ko samjha tha main 'ghazi'
wo mera dukh baDhae ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.