KHayalat rangin nahin bolte usko jyun bas phulon ke rangon mein rahiye
ḳhayālāt rañgīñ nahīñ bolte us ko jyuuñ baas phūloñ ke rañgoñ meñ rahiye
do-rañgī suuñ jaanā guzar dil suuñ avval bazāñ jā ke vaañ ek rañgoñ meñ rahiye
vo vahshat ke jañgal meñ ho kar pareshāñ pahāḌoñ se ġham ke na ho sañg hargiz
sharar ho ke chhiḌ sañg tinke suuñ jaldī sakal ruuh ho barq rañgoñ meñ rahiye
nahīñ mauj-e-dariyā kī dahshat use jo ki maarā hai ġhota ho ġhavvās dil meñ
tah-e-bahr-e-vahdat meñ ġhavvās hone ko ta.alīm paane nahañgoñ meñ rahiye
shahādat mile chaar tan suuñ tujhe gar kare qatl tū pāñch mūziyāñ kuuñ dil ke
shahīdoñ kī rah saath har vaqt hamdam ho jyuuñ sher sherān jañgoñ meñ rahiye
falak charḳh-e-kaj-rau suuñ dekhe agar ḳhuub nai-rañgbāzī zamāne kī hikmat
guzar ġhair sohbat suuñ mad.hosh ho jā pahāḌoñ meñ jā kar bhujañgoñ meñ rahiye
samajh ai 'alīm' aaj rāh-e-haqīqat nipaT saḳht mushkil hai jaañ suuñ guzarnā
patañg ho ke jalne meñ vāsil raheñ haq suuñ ho mard-e-vāhid yakañgoñ meñ rahiye
KHayalat rangin nahin bolte us ko jyun bas phulon ke rangon mein rahiye
do-rangi sun jaana guzar dil sun awwal bazan ja ke wan ek rangon mein rahiye
wo wahshat ke jangal mein ho kar pareshan pahaDon se gham ke na ho sang hargiz
sharar ho ke chhiD sang tinke sun jaldi sakal ruh ho barq rangon mein rahiye
nahin mauj-e-dariya ki dahshat use jo ki mara hai ghota ho ghawwas dil mein
tah-e-bahr-e-wahdat mein ghawwas hone ko talim pane nahangon mein rahiye
shahadat mile chaar tan sun tujhe gar kare qatl tu panch muziyan kun dil ke
shahidon ki rah sath har waqt hamdam ho jyun sher sheran jangon mein rahiye
falak charKH-e-kaj-rau sun dekhe agar KHub nai-rangbazi zamane ki hikmat
guzar ghair sohbat sun madhosh ho ja pahaDon mein ja kar bhujangon mein rahiye
samajh ai 'alim' aaj rah-e-haqiqat nipaT saKHt mushkil hai jaan sun guzarna
patang ho ke jalne mein wasil rahen haq sun ho mard-e-wahid yakangon mein rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.