KHayali shakl par tera guman hota to kya hota
KHayali shakl par tera guman hota to kya hota
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
ḳhayālī shakl par terā gumāñ hotā to kyā hotā
tasavvur mahv-e-sair-e-lā-makāñ hotā to kyā hotā
pise jaate haiñ dil raftār se aaj ek aalam ke
jo ai pīr-e-falak tū naujavāñ hotā to kyā hotā
tumhārī dostī vaj.h-e-sukūn-e-qalb-e-muztar thī
agar dushman hamārā āsmāñ hotā to kyā hotā
ḳhatā kyā kī zabāñ par mudda.ā-e-dil agar laayā
ḳhamoshī se jo iz.hār-e-bayāñ hotā to kyā hotā
vo merā dard-e-dil sun sun ke mujh par muskurāte haiñ
ḳhudā nā-karda gar maiñ be-zabāñ hotā to kyā hotā
ye maanā dostī ko mar ke sābit kar diyā ham ne
kisī ko ġham nasīb-e-dushmanāñ hotā to kyā hotā
shikasta kar chukī thī dil ko aafat nā-murādī kī
koī TuuTe makāñ meñ mehmāñ hotā to kyā hotā
na khultā hashr tak jo farq hai adnā-o-a.alā meñ
na duur itnā zamīñ se āsmāñ hotā to kyā hotā
gulistāñ meñ taḌap kar kal girī hai jis jagah bijlī
vahīñ yārab hamārā āshiyāñ hotā to kyā hotā
bachāyā shirk se 'mas.ūd' shān-e-be-niyāzī ne
agar vahdat pe kasrat kā gumāñ hotā kyā hotā
KHayali shakl par tera guman hota to kya hota
tasawwur mahw-e-sair-e-la-makan hota to kya hota
pise jate hain dil raftar se aaj ek aalam ke
jo ai pir-e-falak tu naujawan hota to kya hota
tumhaari dosti wajh-e-sukun-e-qalb-e-muztar thi
agar dushman hamara aasman hota to kya hota
KHata kya ki zaban par muddaa-e-dil agar laya
KHamoshi se jo izhaar-e-bayan hota to kya hota
wo mera dard-e-dil sun sun ke mujh par muskuraate hain
KHuda na-karda gar main be-zaban hota to kya hota
ye mana dosti ko mar ke sabit kar diya hum ne
kisi ko gham nasib-e-dushmanan hota to kya hota
shikasta kar chuki thi dil ko aafat na-muradi ki
koi TuTe makan mein mehman hota to kya hota
na khulta hashr tak jo farq hai adna-o-ala mein
na dur itna zamin se aasman hota to kya hota
gulistan mein taDap kar kal giri hai jis jagah bijli
wahin yarab hamara aashiyan hota to kya hota
bachaya shirk se 'masud' shan-e-be-niyazi ne
agar wahdat pe kasrat ka guman hota kya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.