KHayali taqche mein dhar diya diya logo
ḳhayālī tāqche meñ dhar diyā diyā logo
kisī ne jaisā kahā maiñ ne vo kiyā logo
ye soch kar ki nishānī hai jaane vaale kī
vo zaḳhm maiñ ne kabhī bhī nahīñ siyā logo
na chaah kar bhī maiñ ghuñghrū gavārā kar lūñgī
kisī bhī taur se maane mirā piyā logo
maiñ jis ke hijr meñ ghuT ghuT ke marne vaalī huī
vo shaḳhs khul ke mirī zindagī jiyā logo
'humā' hathelī kī har har lakīr meñ vo hai
kisī ne kaise use apnā likh liyā logo
KHayali taqche mein dhar diya diya logo
kisi ne jaisa kaha main ne wo kiya logo
ye soch kar ki nishani hai jaane wale ki
wo zaKHm main ne kabhi bhi nahin siya logo
na chah kar bhi main ghunghru gawara kar lungi
kisi bhi taur se mane mera piya logo
main jis ke hijr mein ghuT ghuT ke marne wali hui
wo shaKHs khul ke meri zindagi jiya logo
'huma' hatheli ki har har lakir mein wo hai
kisi ne kaise use apna likh liya logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.