KHayalon KHayalon mein kis par utre
ḳhayāloñ ḳhayāloñ meñ kis paar utre
na dushman koī naañ jahāñ yaar utre
giraftār hai sehr-e-ā.īna-gar kā
pas-e-ā.īna kis tarah yaar utre
zabān-o-bayāñ dāstāñ sab badal de
kahānī meñ aisā bhī kirdār utre
tasavvur meñ to gungunātī nadī thī
samundar meñ kaise ye sarkār utre
so gardan jhukā kar nigāh taan lī hai
ki inkār o iqrār kā baar utre
KHayalon KHayalon mein kis par utre
na dushman koi nan jahan yar utre
giraftar hai sehr-e-aina-gar ka
pas-e-aina kis tarah yar utre
zaban-o-bayan dastan sab badal de
kahani mein aisa bhi kirdar utre
tasawwur mein to gungunati nadi thi
samundar mein kaise ye sarkar utre
so gardan jhuka kar nigah tan li hai
ki inkar o iqrar ka bar utre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.