KHayalon ki bulandi zat ki khai se behtar hai
ḳhayāloñ kī bulandī zaat kī khaa.ī se behtar hai
samundar terā sāhil terī gahrā.ī se behtar hai
ye mailā pairahan kirdār kī kaa.ī se behtar hai
bhalā.ī ke liye ik jhuuT sachchā.ī se behtar hai
mire munsif sazā de yā mujhe insāf jaldī de
tirā har faisla barsoñ meñ sunvā.ī se behtar hai
agar manzil na mil paa.e to raste meñ Thahar jaao
safar mauqūf karnā ābla-pā.ī se behtar hai
mire har dard ko mahsūs karnā bāñTanā har ġham
haqīqat ye hai vo mere sage bhaa.ī se behtar hai
sukūñ miltā hai duniyā bhar ke jhagḌoñ se yahāñ aa kar
ye daftar kī imārat ghar kī añgnā.ī se behtar hai
saḌak par yūñhī āvāra bhaTaknā achchhā lagtā hai
yahāñ jo shor hai andar kī tanhā.ī se behtar hai
mirī umr-e-ravāñ ke saath ye bhī baḌhtā jaatā hai
mirā beTā mirī āñkhoñ kī bīnā.ī se behtar hai
kam-az-kam ġhair ruk kar ḳhairiyat to pūchh lete haiñ
sunā hai ajnabiyyat ab shanāsā.ī se behtar hai
kiyā hai muntaḳhab beTī ne jis ko tum bhī apnā lo
zamāna kah rahā hai ghar kī rusvā.ī se behtar hai
KHayalon ki bulandi zat ki khai se behtar hai
samundar tera sahil teri gahrai se behtar hai
ye maila pairahan kirdar ki kai se behtar hai
bhalai ke liye ek jhuT sachchai se behtar hai
mere munsif saza de ya mujhe insaf jaldi de
tera har faisla barson mein sunwai se behtar hai
agar manzil na mil pae to raste mein Thahar jao
safar mauquf karna aabla-pai se behtar hai
mere har dard ko mahsus karna banTana har gham
haqiqat ye hai wo mere sage bhai se behtar hai
sukun milta hai duniya bhar ke jhagDon se yahan aa kar
ye daftar ki imarat ghar ki angnai se behtar hai
saDak par yunhi aawara bhaTakna achchha lagta hai
yahan jo shor hai andar ki tanhai se behtar hai
meri umr-e-rawan ke sath ye bhi baDhta jata hai
mera beTa meri aankhon ki binai se behtar hai
kam-az-kam ghair ruk kar KHairiyat to puchh lete hain
suna hai ajnabiyyat ab shanasai se behtar hai
kiya hai muntaKHab beTi ne jis ko tum bhi apna lo
zamana kah raha hai ghar ki ruswai se behtar hai
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 39)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.