KHayalon ko tere mohlat agar den
ḳhayāloñ ko tire mohlat agar deñ
ye āñkhoñ meñ lahū kā rang bhar deñ
hameñ maazī ke naġhme mat sunāo
ye āvāzeñ hameñ pāgal na kar deñ
hamāre bas meñ ho to shahr-e-yārāñ
tirī rātoñ meñ bhī ham nuur bhar deñ
jahāñ sar hī nahīñ hoñ gardanoñ par
vahāñ jurm-e-za.īfī kis ke sar deñ
KHayalon ko tere mohlat agar den
ye aankhon mein lahu ka rang bhar den
hamein mazi ke naghme mat sunao
ye aawazen hamein pagal na kar den
hamare bas mein ho to shahr-e-yaran
teri raaton mein bhi hum nur bhar den
jahan sar hi nahin hon gardanon par
wahan jurm-e-zaifi kis ke sar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.