KHayalon mein basa kar tujhko ek paikar banati hun
ḳhayāloñ meñ basā kar tujh ko ik paikar banātī huuñ
hazāroñ rang bhar ke dil-nashīñ manzar banātī huuñ
bahut rotī huuñ jab bastī kahīñ koī ujaḌtī hai
maiñ kankar aur patthar joḌ kar phir ghar banātī huuñ
shab-e-ġham kī siyāhī meñ chhalakte haiñ jo palkoñ se
maiñ qatra qatra ashkoñ se mah-o-aḳhtar banātī huuñ
ġhamoñ kī yūrisheñ sah kar tan-e-tanhā zamāne meñ
shikasta-dil ko apne dard kā ḳhūgar banātī huuñ
ubharte haiñ jo chehre zehn ke parde pe ḳhvāboñ meñ
nigāhoñ meñ chhupātī huuñ kabhī dil par banātī huuñ
bikhar ke hī na rah jaa.e kahīñ ā.īne kī sūrat
mire pahlū meñ jo dil hai use patthar banātī huuñ
ġhazal meñ aa.e jo bhī lafz dil meñ tiir sā utre
'sabā' ḳhanjar banātī huuñ na maiñ nashtar banātī huuñ
KHayalon mein basa kar tujh ko ek paikar banati hun
hazaron rang bhar ke dil-nashin manzar banati hun
bahut roti hun jab basti kahin koi ujaDti hai
main kankar aur patthar joD kar phir ghar banati hun
shab-e-gham ki siyahi mein chhalakte hain jo palkon se
main qatra qatra ashkon se mah-o-aKHtar banati hun
ghamon ki yurishen sah kar tan-e-tanha zamane mein
shikasta-dil ko apne dard ka KHugar banati hun
ubharte hain jo chehre zehn ke parde pe KHwabon mein
nigahon mein chhupati hun kabhi dil par banati hun
bikhar ke hi na rah jae kahin aaine ki surat
mere pahlu mein jo dil hai use patthar banati hun
ghazal mein aae jo bhi lafz dil mein tir sa utre
'saba' KHanjar banati hun na main nashtar banati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.