KHayalon mein bhi aksar chaunk uTha hun
ḳhayāloñ meñ bhī aksar chauñk uThā huuñ
ḳhudā jaane maiñ kyā kyā sochtā huuñ
'ajab hairāniyoñ kā sāmnā hai
ki jaise maiñ kisī kā aa.ina huuñ
chaTānoñ meñ khilā hai phuul tanhā
ye sach hai maiñ usūloñ meñ palā huuñ
ye vaz.a ehtiyāt-andoh-gīñ hai
ḳhud apne aap se Darne lagā huuñ
KHayalon mein bhi aksar chaunk uTha hun
KHuda jaane main kya kya sochta hun
'ajab hairaniyon ka samna hai
ki jaise main kisi ka aaina hun
chaTanon mein khila hai phul tanha
ye sach hai main usulon mein pala hun
ye waza ehtiyat-andoh-gin hai
KHud apne aap se Darne laga hun
- Nama-e-Gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.