KHayalon mein rahte hain jo sath mere
ḳhayāloñ meñ rahte haiñ jo saath mere
kabhī chhū na paa.e unheñ haath mere
laboñ pe hamesha tirā naam aayā
duā ke liye jab uThe haath mere
liye kāñch jaisā badan pattharoñ pe
baḌī duur tak vo chalā saath mere
maiñ tere mahal kī taraf jab chalā thā
lipaTte the qadmoñ se fōtpath mere
abhī tak mahaktī haiñ kaliyāñ laboñ kī
kisī phuul ne chūme the haath mere
chalo maan letā huuñ rāheñ judā haiñ
magar do qadam to chalo saath mere
abhī ḳhud-ba-ḳhud rāsta ban rahā hai
abhī bah rahī hai nadī saath mere
KHayalon mein rahte hain jo sath mere
kabhi chhu na pae unhen hath mere
labon pe hamesha tera nam aaya
dua ke liye jab uThe hath mere
liye kanch jaisa badan pattharon pe
baDi dur tak wo chala sath mere
main tere mahal ki taraf jab chala tha
lipaTte the qadmon se footpath mere
abhi tak mahakti hain kaliyan labon ki
kisi phul ne chume the hath mere
chalo man leta hun rahen juda hain
magar do qadam to chalo sath mere
abhi KHud-ba-KHud rasta ban raha hai
abhi bah rahi hai nadi sath mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.