ḳhayāloñ meñ tirā chehra nahīñ thā
tujhe chāhūñ maiñ ye achchhā nahīñ thā
nigāheñ āsmāñ kī mujh pe kyoñ haiñ
mirā qad to yahāñ ūñchā nahīñ thā
gavāhī de ke maiñ mujrim banā huuñ
mire lab kā safar jhūTā nahīñ thā
kahāñ ye martaba hai sab ko hāsil
mirā jo ijz thā sajda nahīñ thā
na.ī ḳhushbū na.ī āb-o-havā hai
maiñ apnī qabr meñ tanhā nahīñ thā
hamārā naam kyā hai kaun haiñ ham
tumhāre shahr se naata nahīñ thā
KHayalon mein tera chehra nahin tha
tujhe chahun main ye achchha nahin tha
nigahen aasman ki mujh pe kyon hain
mera qad to yahan uncha nahin tha
gawahi de ke main mujrim bana hun
mere lab ka safar jhuTa nahin tha
kahan ye martaba hai sab ko hasil
mera jo ijz tha sajda nahin tha
nai KHushbu nai aab-o-hawa hai
main apni qabr mein tanha nahin tha
hamara nam kya hai kaun hain hum
tumhaare shahr se nata nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.