KHazana lutf ka jaise nafas nafas mein tha
ḳhazāna lutf kā jaise nafas nafas meñ thā
ajab surūr kā aalam merī havas meñ thā
vahāñ bhī log ujāloñ pe naaz karte the
har āftāb-e-jahāñ tīrgī ke bas meñ thā
phire bhī din to use pattharoñ ke paañv mile
vo ek phuul jo muddat se ḳhār-o-ḳhas meñ thā
thakan nahīñ thī ye thā be-hisī kā sannāTā
ajiib karb sā ik nāla-e-jaras meñ thā
sukūt-e-qalb kā āḳhir shikār ho hī gayā
vo ek shaḳhs jo tā-umr pesh-o-pas meñ thā
sabhī ko tīliyāñ apnī aziiz thiiñ 'asrār'
ki jo parind thā ḳhud-sāḳhta qafas meñ thā
KHazana lutf ka jaise nafas nafas mein tha
ajab surur ka aalam meri hawas mein tha
wahan bhi log ujalon pe naz karte the
har aaftab-e-jahan tirgi ke bas mein tha
phire bhi din to use pattharon ke panw mile
wo ek phul jo muddat se KHar-o-KHas mein tha
thakan nahin thi ye tha be-hisi ka sannaTa
ajib karb sa ek nala-e-jaras mein tha
sukut-e-qalb ka aaKHir shikar ho hi gaya
wo ek shaKHs jo ta-umr pesh-o-pas mein tha
sabhi ko tiliyan apni aziz thin 'asrar'
ki jo parind tha KHud-saKHta qafas mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.