khel tamashe mein aise manzar bhi hote hain
khel tamāshe meñ aise manzar bhī hote haiñ
girtī hai dastār to us meñ sar bhī hote haiñ
shahr ujāḌeñ khel rachā ke kaTh-putlī ke saath
lashkar ke sālār tamāshā-gar bhī hote haiñ
dīvāroñ ke baasī kyā jāneñ ghar kā matlab
ghar kahlātā hai jab bām-o-dar bhī hote haiñ
palaT ke bhī aa jaatī haiñ aksar ye dhyān rahe
bātoñ meñ alfāz nahīñ patthar bhī hote haiñ
ba.az auqāt to ishq bhī pahlā kaam nahīñ rahtā
ba.az auqāt masā.il kuchh dīgar bhī hote haiñ
aaj kured ke dekhūñgā yādoñ kī ThanDī raakh
chand dahakte lamhe to andar bhī hote haiñ
bikhrī bikhrī sochoñ meñ kuchh gard uḌāte pal
lā-mutanāhī se ġham kā mehvar bhī hote haiñ
jal uTThe ye ḳhas-ḳhāna to āñkhoñ se chhalkeñ
dil meñ aise barfīle paikar bhī hote haiñ
khel tamashe mein aise manzar bhi hote hain
girti hai dastar to us mein sar bhi hote hain
shahr ujaDen khel racha ke kaTh-putli ke sath
lashkar ke salar tamasha-gar bhi hote hain
diwaron ke basi kya jaanen ghar ka matlab
ghar kahlata hai jab baam-o-dar bhi hote hain
palaT ke bhi aa jati hain aksar ye dhyan rahe
baaton mein alfaz nahin patthar bhi hote hain
baz auqat to ishq bhi pahla kaam nahin rahta
baz auqat masail kuchh digar bhi hote hain
aaj kured ke dekhunga yaadon ki ThanDi rakh
chand dahakte lamhe to andar bhi hote hain
bikhri bikhri sochon mein kuchh gard uDate pal
la-mutanahi se gham ka mehwar bhi hote hain
jal uTThe ye KHas-KHana to aankhon se chhalken
dil mein aise barfile paikar bhi hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.