khel to bilkul ayan hai
khel to bilkul ayaañ hai
chor ghar kā pāsbāñ hai
so ga.ī hai ruuh kab kī
bas badan hī to ravāñ hai
hai baḌī lambī kahānī
āsmāñ par āsmāñ hai
gūñjtī āvāz koī
shaḳhs koī ham-zabāñ hai
jāntā huuñ sab haqīqat
ye mujhe kaisā gumāñ hai
jo bhī chāhe juḌ rahā hai
ishq hai yā kārvāñ hai
mas.ala pūchhā ki kyā hai
to fulāñ bolā fulāñ hai
jo rahe the mar ga.e sab
jo bachā hai vo makāñ hai
jāntā hai baaġh saarā
ḳhuub shātir titliyāñ hai
khel to bilkul ayan hai
chor ghar ka pasban hai
so gai hai ruh kab ki
bas badan hi to rawan hai
hai baDi lambi kahani
aasman par aasman hai
gunjti aawaz koi
shaKHs koi ham-zaban hai
jaanta hun sab haqiqat
ye mujhe kaisa guman hai
jo bhi chahe juD raha hai
ishq hai ya karwan hai
masala puchha ki kya hai
to fulan bola fulan hai
jo rahe the mar gae sab
jo bacha hai wo makan hai
jaanta hai bagh sara
KHub shatir titliyan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.