KHema Dale hue rahraw hai paDa ek se ek
ḳhema Daale hue rahrav hai paḌā ek se ek
kis takalluf kī hai duniyā meñ sarā ek se ek
zulm hai ek se ek aur jafā ek se ek
jāñ-sitāñ hai mire qātil kī adā ek se ek
tum agar pahno to joḌā hai dharā ek se ek
hai har ik ġhunche kī gaThrī meñ qabā ek se ek
hai judā sab se tarīqa sitam-ārā.ī kā
nahīñ miltī mire zālim kī jafā ek se ek
kahiye taqvā-shikan is ko to use tauba-shikan
dilrubā hai tirī ai shoḳh adā ek se ek
apnā aks aa.ine meñ dekh ke vo kahte haiñ
vaah kyā ḳhuub ye naqsha hai khichā ek se ek
tajraba ham ne kiyā hai tap-e-furqat ke sivā
har maraz kī hai zamāne meñ davā ek se ek
qābiliyyat bhī to ho dekhne kī āñkhoñ ko
zer-e-aflāk hai ḳhurshīd-laqā ek se ek
vaah kyā san.at-e-ḳhāliq hai ye sub.hān-allāh
apnī sūrat meñ har insān judā ek se ek
bul-havas taab sitam kī jo na laayā na sahī
sarfaroshī ko haiñ sau ahl-e-vafā ek se ek
mil ga.e ḳhaak meñ sab un ke pahanñe vaale
dekho utrī huī rakkhī hai qabā ek se ek
manzil-e-tafraqa sab kahte haiñ is duniyā ko
ek hī ghar meñ haiñ phir sab haiñ judā ek se ek
haath agar tū ne uThāyā hai duā karne ko
mujh se sun maañg tū ai mard-e-ḳhudā ek se ek
ai musāfir tirā jī chāhe jahāñ kar ārām
ek hī raat to basnā hai sarā ek se ek
kū-e-qātil meñ hai ḳhūnī kafanoñ kā majma.a
aiñDate phirte haiñ kyā kyā shohadā ek se ek
hashr ke din bhī vahī fikr hai apnī apnī
aise majma.e meñ bhī aa kar na milā ek se ek
lillāh al-hamd kisī tarah maiñ qāsir hī nahīñ
laa.ī mazmūn mirī fikr-e-rasā ek se ek
bāġh-e-ālam meñ kisī ko na shagufta dekhā
kabhī dil khol ke ġhuncha na hañsā ek se ek
fasl-e-gul aa.ī to ho jā.egā jangal bhī chaman
bhare baiThe hue haiñ ābla-pā ek se ek
bazm-e-duniyā bhī mire dil kā namūna hai koī
mahfil-ārā hai yahāñ māh-laqā ek se ek
mujhe us se to use mujh se pahuñchtī hai madad
sāhab-e-fan yūñhīñ vābasta rahā ek se ek
zulf-e-māshūq jo barham hī rahe to hai mazā
na mile us kā koī taar sabā ek se ek
qābil-e-sair shab-e-māh meñ paTna kā hai chauk
apne koThoñ pe haiñ sau māh-laqā ek se ek
kisī mahjūr kā kyā ḳhuub hai 'akbar' ye kalām
dil ke vo harf haiñ vo bhī haiñ judā ek se ek
KHema Dale hue rahraw hai paDa ek se ek
kis takalluf ki hai duniya mein sara ek se ek
zulm hai ek se ek aur jafa ek se ek
jaan-sitan hai mere qatil ki ada ek se ek
tum agar pahno to joDa hai dhara ek se ek
hai har ek ghunche ki gaThri mein qaba ek se ek
hai juda sab se tariqa sitam-arai ka
nahin milti mere zalim ki jafa ek se ek
kahiye taqwa-shikan is ko to use tauba-shikan
dilruba hai teri ai shoKH ada ek se ek
apna aks aaine mein dekh ke wo kahte hain
wah kya KHub ye naqsha hai khicha ek se ek
tajraba hum ne kiya hai tap-e-furqat ke siwa
har maraz ki hai zamane mein dawa ek se ek
qabiliyyat bhi to ho dekhne ki aankhon ko
zer-e-aflak hai KHurshid-laqa ek se ek
wah kya sanat-e-KHaliq hai ye subhan-allah
apni surat mein har insan juda ek se ek
bul-hawas tab sitam ki jo na laya na sahi
sarfaroshi ko hain sau ahl-e-wafa ek se ek
mil gae KHak mein sab un ke pahanne wale
dekho utri hui rakkhi hai qaba ek se ek
manzil-e-tafraqa sab kahte hain is duniya ko
ek hi ghar mein hain phir sab hain juda ek se ek
hath agar tu ne uThaya hai dua karne ko
mujh se sun mang tu ai mard-e-KHuda ek se ek
ai musafir tera ji chahe jahan kar aaram
ek hi raat to basna hai sara ek se ek
ku-e-qatil mein hai KHuni kafanon ka majma
ainDate phirte hain kya kya shohada ek se ek
hashr ke din bhi wahi fikr hai apni apni
aise majmae mein bhi aa kar na mila ek se ek
lillah al-hamd kisi tarah main qasir hi nahin
lai mazmun meri fikr-e-rasa ek se ek
bagh-e-alam mein kisi ko na shagufta dekha
kabhi dil khol ke ghuncha na hansa ek se ek
fasl-e-gul aai to ho jaega jangal bhi chaman
bhare baiThe hue hain aabla-pa ek se ek
bazm-e-duniya bhi mere dil ka namuna hai koi
mahfil-ara hai yahan mah-laqa ek se ek
mujhe us se to use mujh se pahunchti hai madad
sahab-e-fan yunhin wabasta raha ek se ek
zulf-e-mashuq jo barham hi rahe to hai maza
na mile us ka koi tar saba ek se ek
qabil-e-sair shab-e-mah mein paTna ka hai chauk
apne koThon pe hain sau mah-laqa ek se ek
kisi mahjur ka kya KHub hai 'akbar' ye kalam
dil ke wo harf hain wo bhi hain juda ek se ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.