KHema-e-KHwab ki tanaben khol
ḳhema-e-ḳhvāb kī tanābeñ khol
qāfila jā chukā hai āñkheñ khol
ai zamīñ merā ḳhair-maqdam kar
terā beTā huuñ apnī bāñheñ khol
Duub jaa.eñ na phuul kī nabzeñ
ai ḳhudā mausamoñ kī sāñseñ khol
faash kar bhed do-jahāñoñ ke
mujh pe sar-basta kā.enāteñ khol
paḌ na jaa.e nagar meñ rasm-e-sukūt
qufl-e-lab toḌ de zabāneñ khol
KHema-e-KHwab ki tanaben khol
qafila ja chuka hai aankhen khol
ai zamin mera KHair-maqdam kar
tera beTa hun apni banhen khol
Dub jaen na phul ki nabzen
ai KHuda mausamon ki sansen khol
fash kar bhed do-jahanon ke
mujh pe sar-basta kaenaten khol
paD na jae nagar mein rasm-e-sukut
qufl-e-lab toD de zabanen khol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.