khiDki khol ke dekho mausam achchha hai
khiḌkī khol ke dekho mausam achchhā hai
chiḌiyo par phailāo mausam achchhā hai
apnī dhartī jaisā koī aur nahīñ
lauT ke vāpas aao mausam achchhā hai
sachchā.ī ke rañg havā meñ phail ga.e
chunarī ko lahrāo mausam achchhā hai
ḳhatm na hone denā apnā josh-o-junūñ
ishq ko saath milāo mausam achchhā hai
va.ade chuum rahe haiñ apnī chaukhaT ko
jhūmo nācho gaao mausam achchhā hai
kaise kaise dukh jhele the raste meñ
zaḳhmoñ ko sahlāo mausam achchhā hai
khiDki khol ke dekho mausam achchha hai
chiDiyo par phailao mausam achchha hai
apni dharti jaisa koi aur nahin
lauT ke wapas aao mausam achchha hai
sachchai ke rang hawa mein phail gae
chunari ko lahrao mausam achchha hai
KHatm na hone dena apna josh-o-junun
ishq ko sath milao mausam achchha hai
wade chum rahe hain apni chaukhaT ko
jhumo nacho gao mausam achchha hai
kaise kaise dukh jhele the raste mein
zaKHmon ko sahlao mausam achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.