khiDki kholo kuchh to yahan bhi taza narm hawa aae
khiḌkī kholo kuchh to yahāñ bhī taaza narm havā aa.e
manzar sahn-e-chaman kā ubhre bū-e-dard-rubā aa.e
be-jāñ fan meñ jaan sī aa.e zaḳhm-e-tamannā taaza ho
yaad meñ rañg hinā kā lahke raqs meñ bād-e-sabā aa.e
māh-gazīda raat hai sākit jaise koī ā.īna
os ke sabze par girne kī sannāTe meñ sadā aa.e
fazl-e-ḳhizāñ ke sūkhe patte haañp rahe haiñ saa.e meñ
saaya apne tah-ḳhānoñ meñ jaa.e unheñ pahuñchā aa.e
pahroñ dil se bāteñ kar ke chain se baiThe haiñ aise
jaise jo kuchh bhī kahnā thā duniyā-bhar ko sunā aa.e
nahr pe sāya-bār shajar ke jaal se maujeñ uljhī haiñ
koī 'hasan' us uljhā de koī jaa.e zarā suljhā aa.e
khiDki kholo kuchh to yahan bhi taza narm hawa aae
manzar sahn-e-chaman ka ubhre bu-e-dard-ruba aae
be-jaan fan mein jaan si aae zaKHm-e-tamanna taza ho
yaad mein rang hina ka lahke raqs mein baad-e-saba aae
mah-gazida raat hai sakit jaise koi aaina
os ke sabze par girne ki sannaTe mein sada aae
fazl-e-KHizan ke sukhe patte hanp rahe hain sae mein
saya apne tah-KHanon mein jae unhen pahuncha aae
pahron dil se baaten kar ke chain se baiThe hain aise
jaise jo kuchh bhi kahna tha duniya-bhar ko suna aae
nahr pe saya-bar shajar ke jal se maujen uljhi hain
koi 'hasan' us uljha de koi jae zara suljha aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.