khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai
khiḌkī meñ ek naar jo mahv-e-ḳhayāl hai
shāyad kisī ke pyaar ko paane kī chaal hai
kamre kī chiiz chiiz pe hai hasratoñ kī gard
āñgan meñ ujlī dhuup kā phailā jamāl hai
alfāz ke guhar tirī ḳhātir piro liye
ye bhī to tere husn-e-talab kā kamāl hai
iz.hār-e-ishq kartā hai ab raah chalte bhī
is 'ahd kā javāñ baḌā raushan-ḳhayāl hai
barsoñ ke yaar kab ke judā ho ga.e 'sa.īd'
is shahr meñ zarūr muravvat kā kaal hai
khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai
shayad kisi ke pyar ko pane ki chaal hai
kamre ki chiz chiz pe hai hasraton ki gard
aangan mein ujli dhup ka phaila jamal hai
alfaz ke guhar teri KHatir piro liye
ye bhi to tere husn-e-talab ka kamal hai
izhaar-e-ishq karta hai ab rah chalte bhi
is 'ahd ka jawan baDa raushan-KHayal hai
barson ke yar kab ke juda ho gae 'said'
is shahr mein zarur murawwat ka kal hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 523)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.