khiDki se jhankta hua chehra
khiḌkī se jhāñktā huā chehra
aaj dekhā hai chāñd sā chehra
tere chehre meñ koī jaadū hai
jo khilā detā hai mirā chehra
soch kar un ko pherī thī unglī
ret par un kā ban gayā chehra
tere gāloñ ke ek Dimple ne
ḳhūb-sūrat banā diyā chehra
mere ḳhvāboñ meñ roz aatā hai
chāñd tāroñ se vo sajā chehra
haal dil kā bayān kartā hai
dil kā hotā hai aa.ina chehra
dukh zamāna ke bhuul jaatā huuñ
dekhtā jab huuñ aap kā chehra
kaun sā ġham satā rahā hai tumheñ
kyoñ hai itnā bujhā bujhā chehra
khiDki se jhankta hua chehra
aaj dekha hai chand sa chehra
tere chehre mein koi jadu hai
jo khila deta hai mera chehra
soch kar un ko pheri thi ungli
ret par un ka ban gaya chehra
tere galon ke ek Dimple ne
KHub-surat bana diya chehra
mere KHwabon mein roz aata hai
chand taron se wo saja chehra
haal dil ka bayan karta hai
dil ka hota hai aaina chehra
dukh zamana ke bhul jata hun
dekhta jab hun aap ka chehra
kaun sa gham sata raha hai tumhein
kyon hai itna bujha bujha chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.