Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khiDkiyan sab band kamron aur dalanon ke bich

Moni Gopal Tapish

khiDkiyan sab band kamron aur dalanon ke bich

Moni Gopal Tapish

MORE BYMoni Gopal Tapish

    khiḌkiyāñ sab band kamroñ aur dālānoñ ke biich

    baT ga.e parivār āḳhir saiñkaḌoñ ḳhānoñ ke biich

    mujh ko duniyāñ jaan letī thī kisī ke naam se

    vāqiye gum ho ga.e haiñ jaise afsānoñ ke biich

    maiñ huuñ chhoTā baḌā hogā maiñ kaise maan luuñ

    ab yahī charchā hai apnoñ aur begānoñ ke biich

    ik taraf tark-e-ta.alluq ik taraf hai us yaad

    hai kahāñ āsāñ guzarnā aise tūfānoñ ke biich

    kho diyā har shaḳhs ne bīnā.ī radd-e-amal

    ek chuTkī dhuup pheñkī thī dīvānoñ ke biich

    khiDkiyan sab band kamron aur dalanon ke bich

    baT gae pariwar aaKHir sainkaDon KHanon ke bich

    mujh ko duniyan jaan leti thi kisi ke nam se

    waqiye gum ho gae hain jaise afsanon ke bich

    main hun chhoTa tu baDa hoga main kaise man lun

    ab yahi charcha hai apnon aur beganon ke bich

    ek taraf tark-e-talluq ek taraf hai us ki yaad

    hai kahan aasan guzarna aise tufanon ke bich

    kho diya har shaKHs ne binai ka radd-e-amal

    ek chuTki dhup hi phenki thi diwanon ke bich

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now