khiDkiyon se jhank kar galiyon mein Dar dekha kiye
khiḌkiyoñ se jhāñk kar galiyoñ meñ Dar dekhā kiye
ghar meñ baiThe raat din dīvār-o-dar dekhā kiye
aisā manzar thā ki āñkheñ dekh kar pathrā ga.iiñ
phir na dekhā kuchh magar nezoñ pe sar dekhā kiye
rāt-bhar sochā kiye aur sub.h-dam aḳhbār meñ
apne hāthoñ apne marne kī ḳhabar dekhā kiye
ek taarā nā-gahāñ chamkā girā aur bujh gayā
phir na aa.ī niiñd taare rāt-bhar dekhā kiye
vo to ḳhvāboñ meñ bhī ḳhushbū kī tarah aatā rahā
phuul kī mānind us ko ham magar dekhā kiye
kaun thā vo kab milā thā kyā pata 'alvī' magar
der tak ham us ko āñkheñ muuñd kar dekhā kiye
khiDkiyon se jhank kar galiyon mein Dar dekha kiye
ghar mein baiThe raat din diwar-o-dar dekha kiye
aisa manzar tha ki aankhen dekh kar pathra gain
phir na dekha kuchh magar nezon pe sar dekha kiye
raat-bhar socha kiye aur subh-dam aKHbar mein
apne hathon apne marne ki KHabar dekha kiye
ek tara na-gahan chamka gira aur bujh gaya
phir na aai nind tare raat-bhar dekha kiye
wo to KHwabon mein bhi KHushbu ki tarah aata raha
phul ki manind us ko hum magar dekha kiye
kaun tha wo kab mila tha kya pata 'alwi' magar
der tak hum us ko aankhen mund kar dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.