khinch hi lega dosti ki taraf
khīñch hī legā dostī kī taraf
us ke dushman bhī haiñ usī kī taraf
ek patvār naav kī ḳhātir
ik nazar merī zindagī kī taraf
ik jhalak us hasīn chehre kī
ik qadam aur shā.irī kī taraf
aap kā saath jis ko mil jaa.e
kyoñ hī dekhegā ve ghaḌī kī taraf
bachcha bolā ġhubāre vaale se
ek chakkar mirī galī kī taraf
jab bhī phūloñ kā zikr hotā hai
zehn jaatā hai aap hī kī taraf
ye koī pūchhne kī baat hai yaar
kaise aa.e ho shā.irī kī taraf
khinch hi lega dosti ki taraf
us ke dushman bhi hain usi ki taraf
ek patwar naw ki KHatir
ek nazar meri zindagi ki taraf
ek jhalak us hasin chehre ki
ek qadam aur shairi ki taraf
aap ka sath jis ko mil jae
kyon hi dekhega we ghaDi ki taraf
bachcha bola ghubare wale se
ek chakkar meri gali ki taraf
jab bhi phulon ka zikr hota hai
zehn jata hai aap hi ki taraf
ye koi puchhne ki baat hai yar
kaise aae ho shairi ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.