Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khinch kar yun le chali wahshat bayaban ki taraf

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

khinch kar yun le chali wahshat bayaban ki taraf

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    khīñch kar yuuñ le chalī vahshat bayābāñ taraf

    laa.eñ jaise tifl-e-bad-ḳhū ko dabistāñ taraf

    faiz vahshat adā-e-shukr jab vājib huā

    sar jhukāyā ham ne mehrāb-e-garebāñ taraf

    hāsil-e-josh-e-junūñ hai mātam-e-hosh-o-ḳhirad

    ḳhaak uḌāte jaate haiñ vahshī bayābāñ taraf

    aql ke teġh-e-junūn-e-tez se kūche kaTe

    kaun aa.e jāda-e-chāk-e-garebāñ taraf

    kar chukā josh-e-junūñ jins-e-ḳhirad par haath saaf

    lauT ab aatī hai bāzār-e-garebāñ taraf

    ishq ke maktab meñ jab aayā paye dars-e-junūñ

    pahle uñglī uThī nūn-e-garebāñ taraf

    mā.il-e-zevar huā jab vo hasīn-e-jāma-zeb

    chāñd aayā charḳh se tauq-e-garebāñ taraf

    hosh meñ aate haiñ dīvāne ga.ī fasl-e-bahār

    dasht-e-vahshat chhup rahe pusht-e-garebāñ taraf

    nāḳhun-e-ġham nishāñ dil par hai misl-e-māh-e-nau

    uñgliyāñ uThtī haiñ us zaḳhm-e-numāyāñ taraf

    jab kisī āshiq ne kuchh hāl-e-pareshānī kahā

    hañs diye muñh pher kar zulf-e-pareshāñ taraf

    zo.af meñ khol kar rone hasrat hai mujhe

    dekhtā hai yaas se har ashk dāmāñ taraf

    sham.a ke sho.ale sitam karte haiñ misl-e-barq-e-tūr

    dekhtā huuñ jab 'nazar' bazm-e-hasīnāñ taraf

    khinch kar yun le chali wahshat bayaban ki taraf

    laen jaise tifl-e-bad-KHu ko dabistan ki taraf

    faiz wahshat ka ada-e-shukr jab wajib hua

    sar jhukaya hum ne mehrab-e-gareban ki taraf

    hasil-e-josh-e-junun hai matam-e-hosh-o-KHirad

    KHak uDate jate hain wahshi bayaban ki taraf

    aql ke tegh-e-junun-e-tez se kuche kaTe

    kaun aae jada-e-chaak-e-gareban ki taraf

    kar chuka josh-e-junun jins-e-KHirad par hath saf

    lauT ab aati hai bazar-e-gareban ki taraf

    ishq ke maktab mein jab aaya paye dars-e-junun

    pahle hi ungli uThi nun-e-gareban ki taraf

    mail-e-zewar hua jab wo hasin-e-jama-zeb

    chand aaya charKH se tauq-e-gareban ki taraf

    hosh mein aate hain diwane gai fasl-e-bahaar

    dasht-e-wahshat chhup rahe pusht-e-gareban ki taraf

    naKHun-e-gham ka nishan dil par hai misl-e-mah-e-nau

    ungliyan uThti hain us zaKHm-e-numayan ki taraf

    jab kisi aashiq ne kuchh haal-e-pareshani kaha

    hans diye munh pher kar zulf-e-pareshan ki taraf

    zoaf mein ji khol kar rone ki hasrat hai mujhe

    dekhta hai yas se har ashk daman ki taraf

    shama ke shoale sitam karte hain misl-e-barq-e-tur

    dekhta hun jab 'nazar' bazm-e-hasinan ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now