Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe

Zafar Iqbal

khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    khīñch laa.ī hai yahāñ lazzat-e-āzār mujhe

    jahāñ paanī na mile aaj vahāñ maar mujhe

    dhuup zālim sahī jism tavānā hai abhī

    yaad aa.egā kabhī sāya-e-ashjār mujhe

    sāl-hā-sāl se ḳhāmosh the gahre paanī

    ab nazar aa.e haiñ āvāz ke āsār mujhe

    baaġh qabr pe rote hue dekhā thā jise

    nazar aayā vahī saaya sar-e-dīvār mujhe

    gir ke sad paara huā abr meñ aTkā huā chāñd

    sar pe chādar nazar aa.ī shab-e-tār mujhe

    saañs meñ thā kisī jalte hue jañgal dhuāñ

    sair-e-gulzār dikhāte rahe bekār mujhe

    raat ke dasht meñ TuuTī thī havā zanjīr

    sub.h mahsūs huī ret jhankār mujhe

    vahī jaama ki mire tan pe na Thiik aatā thā

    vahī in.aam milā āqibat-e-kār mujhe

    jab se dekhā hai 'zafar' ḳhvāb-e-shabistān-e-ḳhayāl

    bistar-e-ḳhāk pe sonā huā dushvār mujhe

    khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe

    jahan pani na mile aaj wahan mar mujhe

    dhup zalim hi sahi jism tawana hai abhi

    yaad aaega kabhi saya-e-ashjar mujhe

    sal-ha-sal se KHamosh the gahre pani

    ab nazar aae hain aawaz ke aasar mujhe

    bagh ki qabr pe rote hue dekha tha jise

    nazar aaya wahi saya sar-e-diwar mujhe

    gir ke sad para hua abr mein aTka hua chand

    sar pe chadar si nazar aai shab-e-tar mujhe

    sans mein tha kisi jalte hue jangal ka dhuan

    sair-e-gulzar dikhate rahe bekar mujhe

    raat ke dasht mein TuTi thi hawa ki zanjir

    subh mahsus hui ret ki jhankar mujhe

    wahi jama ki mere tan pe na Thik aata tha

    wahi inam mila aaqibat-e-kar mujhe

    jab se dekha hai 'zafar' KHwab-e-shabistan-e-KHayal

    bistar-e-KHak pe sona hua dushwar mujhe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now