khinch lai panw ki zanjir zindan ki taraf
khīñch laa.ī paañv kī zanjīr zindāñ kī taraf
varna ghar se ham to nikle the bayābāñ kī taraf
phir nahīñ palTīñ nigāheñ chashm-e-hairāñ kī taraf
dekhte hī rah ga.e ham rū-e-jānāñ kī taraf
kaun kahtā hai ki ham haiñ raah se bhaTke hue
jo qadam uThtā hai uThtā hai bayābāñ kī taraf
koī samjhe yā na samjhe ishq ke asrār ko
ham ishāra kar ga.e haiñ dard-e-pinhāñ kī taraf
nā-mukammal sī nazar aatī hai taufīq-e-junūñ
ruk ga.e haiñ haath baḌh kar jeb-o-dāmāñ kī taraf
dekhiye hotī hai kis din phir tajallī kī numūd
dekhtā rahtā huuñ husn-e-jalva-sāmāñ kī taraf
ab ḳhudā par hai bharosa ham ko apnī naav kā
le chalā hai nāḳhudā girdāb o tūfāñ kī taraf
ye kamāl-e-jazba-e-zauq-e-ḳhalish to dekhiye
ḳhud-baḳhud khiñchtā chalā nashtar rag-e-jāñ kī taraf
rah ga.e kyā āshiyāñ meñ aur kuchh tinke abhī
kauñdtī haiñ bijliyāñ ab tak gulistāñ kī taraf
zindagī thī ik rah-e-dushvār jis par chal paḌe
kyā qadam uThtā hamārā rāh-e-āsāñ kī taraf
gardish-e-ayyām se ye intishār-e-dahr kyā
dekhtā huuñ maiñ tirī zulf-e-pareshāñ kī taraf
kyā fareb-e-va.ada kā un ko na thā pahle ḳhayāl
dhyān hī jaatā nahīñ ab 'ahd-o-paimāñ kī taraf
'shākir'-e-nādāñ hai dard-e-ishq hī se zindagī
dekh marne ke liye jā tū na darmāñ kī taraf
khinch lai panw ki zanjir zindan ki taraf
warna ghar se hum to nikle the bayaban ki taraf
phir nahin palTin nigahen chashm-e-hairan ki taraf
dekhte hi rah gae hum ru-e-jaanan ki taraf
kaun kahta hai ki hum hain rah se bhaTke hue
jo qadam uThta hai uThta hai bayaban ki taraf
koi samjhe ya na samjhe ishq ke asrar ko
hum ishaara kar gae hain dard-e-pinhan ki taraf
na-mukammal si nazar aati hai taufiq-e-junun
ruk gae hain hath baDh kar jeb-o-daman ki taraf
dekhiye hoti hai kis din phir tajalli ki numud
dekhta rahta hun husn-e-jalwa-saman ki taraf
ab KHuda par hai bharosa hum ko apni naw ka
le chala hai naKHuda girdab o tufan ki taraf
ye kamal-e-jazba-e-zauq-e-KHalish to dekhiye
KHud-baKHud khinchta chala nashtar rag-e-jaan ki taraf
rah gae kya aashiyan mein aur kuchh tinke abhi
kaundti hain bijliyan ab tak gulistan ki taraf
zindagi thi ek rah-e-dushwar jis par chal paDe
kya qadam uThta hamara rah-e-asan ki taraf
gardish-e-ayyam se ye intishaar-e-dahr kya
dekhta hun main teri zulf-e-pareshan ki taraf
kya fareb-e-wada ka un ko na tha pahle KHayal
dhyan hi jata nahin ab 'ahd-o-paiman ki taraf
'shakir'-e-nadan hai dard-e-ishq hi se zindagi
dekh marne ke liye ja tu na darman ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.