khil uThe hain zaKHm phulon ki tarah
khil uThe hain zaKHm phulon ki tarah
Chhabi Saksena Sahai Saba
MORE BYChhabi Saksena Sahai Saba
khil uThe haiñ zaḳhm phūloñ kī tarah
koī aayā hai bahāroñ kī tarah
hasratoñ kī bad-nasībī dekhiye
bujh ga.iiñ saarī charāġhoñ kī tarah
ḳhvāb kī bhī siskiyāñ sun lījiye
TuuT ke bikhre haiñ shīshoñ kī tarah
sarsarī sī ik nazar un kī paḌī
aaj ham bhī haiñ hazāroñ kī tarah
lutf jaane kā jahāñ se baḌh ke ho
yaad gar aa.uuñ misāloñ kī tarah
ab 'sabā' kab tak karegī intizār
us kā aanā hai havāoñ kī tarah
khil uThe hain zaKHm phulon ki tarah
koi aaya hai bahaaron ki tarah
hasraton ki bad-nasibi dekhiye
bujh gain sari charaghon ki tarah
KHwab ki bhi siskiyan sun lijiye
TuT ke bikhre hain shishon ki tarah
sarsari si ek nazar un ki paDi
aaj hum bhi hain hazaron ki tarah
lutf jaane ka jahan se baDh ke ho
yaad gar aaun misalon ki tarah
ab 'saba' kab tak karegi intizar
us ka aana hai hawaon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.